Sunday, May 2, 2010

"Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai"



Azeem hai qurbat ki dooriyan bhi,

Saath reh kar bhi usko na pana kaisa lagta hai?

Kismat mein nahi phir bhi usko chahte hain,

Phool samajh kar kaanton par chalna kaisa lagta hai?

Ab to mehfil mein bhi hamare liye tanhai hai,

Gham Chupakar mehfil ko sajana kaisa lagta hai?

Mehfil mein doosron se has has kar milte hain,

Tanhai mein gham ke aansu bahana kaisa lagta hai?

Samjhane par bhi samajhta nahi hai yeh dil,

Uski yaadon mein raaton ko jaagna kaisa lagta hai?

Uski berukhi ne itne diye hai zakhm ke,

Zakhm kha kar bhi muskurana kaisa lagta hai?

Jab woh has has kar baat karey doosron se,

Tab apne aansu ko chupana kaisa lagta hai?

Usay kho kar to raha mere paas kuch bhi nahi,

Phir bhi khud ko ameer batana kaisa lagta hai?

Khud ko anmol samajhne ka tha bada gham

Khud ko anmol samajhne ka tha bada ghamand,
Phir bhi beymol bik jana kaisa lagta hai?

Khaye hain Dhoke mohabbat mein itne,

Phir bhi isko chahne kaisa lagta hai?

Maloom hai is deewane ki manzil nahi hai koi,

Phir bhi safar karte rehna kaisa lagta hai?

Woh to aakar bhi kab ke jaa Chuke,

Phir bhi uska Intezaar karna kaisa lagta hai....? ?


Ved

Sunday, April 25, 2010

"Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai"


Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.

Ved

"Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain"


Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey
Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai
Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain
Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey
kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Ved

"Bura Lagta Hai"


Hijar ki Yaad Mai Sulgo to Bura lagta hai
Tum mere Pyar ko Tarso to Bura lagta hai

Ek Tamanna hai faqat, Mujh per Mehrban raho Tum
Kisi aur ko dekho to Bura lagta hai

Meri Rooh tarasti hia Khushboo ki Teri
Tum kahin aur ja ker Mehko to Bura lagta hai

Aarzoo hai Mai Tumhein her pal Paas hi dekhoon
Tum Mere paas se utho to Bura lagta hai

Mai utha sakta hoon jab Naaz Tumharey
Tum agar Naaz nahi karti to Bura lagta hai


Ved

"Ye Arzoo Nahi Magar"


Hum tum se shok_e_mulakat nahi rakhte magar …
Mile koi aur tum se ye acha nahe lagta …

Hum tumhe chahte b nahi magar …
chahe koi aur tumhe ye acha nahi lagta …

Tere kafley mai chalne ki aarzo nahi magar …
chale koi aur sath tere ye acha nahi lagta …

Dèedar tera shayed pasand nahi hamey magar …
Dekhey koi aur tumhe ye acha nahi lagta …

Nafrat hai mohabat hai adaawat hai maaloom nahi …
kisi aur ko shaahqar batayen ye acha nahi lagta…


Ved

"Lagta Nahi'


Lagta NahI Ke Sath Nibhayega Der Tak
LekiN Wo Mujh Ko BhOoL Na Payega Der Tak

Jo BhI Qareeb Aay’E Ga Us KE, Us’E ZurooR..
Wo Meri DaastaN SunaEGa Der Tak……..!

DOondyE Ga Wo MujhE, Enhi GalYun MeIN Ek DiN..
DOondyE Ga Aur Mujh Ko Na PaEGa Dair Tak….

MaIN SaahiLoN Ki Ret P’E LiKhuNGa Us Ka NaaM
Wo PaaNi Py’E Mera Naqsh BanayEGa Der Tak….

Kis Haal MeIN HOoN Us S’E BicharnE KyE Baad MeiN…?
SuN Kar UsE YaqeeN Na AEGa Dair Tak……

Ved*

"Kuch Iss Kadar Tujhse Door Raha Hoon"


-

Zindagi Teri Haqeeqat Se Kuch yuh Bekhabar Raha Hoon main..
Manzil ki Talaash Mein Humesha Dar-Badar Raha Hoon Main!!!

Eh Zindagi Jaane Kis Raah Kis Mod par Tu Humpar meharbaan Ho!!!
Tu To Kabhi Naa Ho Payi Meri Par Humesha Tera Humsafar Raha Hoon main!!!

Ajeeb Hai Yeh khel Lakeeron Ka!!!
Tootkar Aeene Ki Tarah Ab Bikhar Raha Hoon Main!!!

Halaat Ke Darr Se Kabhi Do Kadam Bhi na Chal Saka
Waqt Ke Khauff Se Humesha Apne Ghar Raha Hoon Main!!!

Mushkil Rahon Par Tanha Chalta Gaya
Har Daur Se kuch yuh Guzar Raha Hoon Main!!!

Parakh Raha Hoon aAJ Apne Aur Gairon Ko,
Har Rishte Mein Kuch Yuh Dhal Raha Hoon Main!!

Insaan Hoon Main Bhi,Main Bhi Dil Rakhta Hoon
Chot khaakar Phir Bhi Bas Chal Raha Hoon Main!!!

“Khwaish” To ek Boond Ashq Ki Tarah Hai
Jisne Palkon Par Apna Ghar Bana Liya..
Par Dheere-Dheere Unn palkon Se Utar Raha Hoon Main!!!!

SIRF CHALNA HI AGAR ZINDAGI HAI!!!
TO HAAN BAS CHAL RAHA HOON MAIN!!!


Ved