Sunday, May 2, 2010

"Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai"



Azeem hai qurbat ki dooriyan bhi,

Saath reh kar bhi usko na pana kaisa lagta hai?

Kismat mein nahi phir bhi usko chahte hain,

Phool samajh kar kaanton par chalna kaisa lagta hai?

Ab to mehfil mein bhi hamare liye tanhai hai,

Gham Chupakar mehfil ko sajana kaisa lagta hai?

Mehfil mein doosron se has has kar milte hain,

Tanhai mein gham ke aansu bahana kaisa lagta hai?

Samjhane par bhi samajhta nahi hai yeh dil,

Uski yaadon mein raaton ko jaagna kaisa lagta hai?

Uski berukhi ne itne diye hai zakhm ke,

Zakhm kha kar bhi muskurana kaisa lagta hai?

Jab woh has has kar baat karey doosron se,

Tab apne aansu ko chupana kaisa lagta hai?

Usay kho kar to raha mere paas kuch bhi nahi,

Phir bhi khud ko ameer batana kaisa lagta hai?

Khud ko anmol samajhne ka tha bada gham

Khud ko anmol samajhne ka tha bada ghamand,
Phir bhi beymol bik jana kaisa lagta hai?

Khaye hain Dhoke mohabbat mein itne,

Phir bhi isko chahne kaisa lagta hai?

Maloom hai is deewane ki manzil nahi hai koi,

Phir bhi safar karte rehna kaisa lagta hai?

Woh to aakar bhi kab ke jaa Chuke,

Phir bhi uska Intezaar karna kaisa lagta hai....? ?


Ved

1 comment: